kitni sadiyan na-rasi ki intiha mein kho gain
kitnī sadiyāñ nā-rasī kī intihā meñ kho ga.iiñ
be-jahat nasloñ kī āvāzeñ ḳhalā meñ kho ga.iiñ
rañg-o-bū kā shauq āshob-e-havā meñ le gayā
titliyāñ ghar se nikal kar ibtilā meñ kho ga.iiñ
kaun pas-manzar meñ ujḌe paikaroñ ko dekhtā
shahr kī nazreñ libās-e-ḳhushnumā meñ kho ga.iiñ
muntazir chaukhaT pe ta.abīroñ ke shahzāde rahe
ḳhvāb kī shahzādiyāñ qasr-e-duā meñ kho ga.iiñ
saañp ne un ke nasheman meñ baserā kar liyā
peḌ se chiḌiyoñ kī mahkāreñ fazā meñ kho ga.iiñ
koī kyā bāb-e-amāñ āfat-zadoñ par kholtā
dastakeñ gulzār tūfāñ kī sadā meñ kho ga.iiñ
kitni sadiyan na-rasi ki intiha mein kho gain
be-jahat naslon ki aawazen KHala mein kho gain
rang-o-bu ka shauq aashob-e-hawa mein le gaya
titliyan ghar se nikal kar ibtila mein kho gain
kaun pas-manzar mein ujDe paikaron ko dekhta
shahr ki nazren libas-e-KHushnuma mein kho gain
muntazir chaukhaT pe tabiron ke shahzade rahe
KHwab ki shahzadiyan qasr-e-dua mein kho gain
sanp ne un ke nasheman mein basera kar liya
peD se chiDiyon ki mahkaren faza mein kho gain
koi kya bab-e-aman aafat-zadon par kholta
dastaken gulzar tufan ki sada mein kho gain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 373)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.