Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitni saza mili hai mujhe arz-e-haal par

Jafar Baluch

kitni saza mili hai mujhe arz-e-haal par

Jafar Baluch

MORE BYJafar Baluch

    kitnī sazā milī hai mujhe arz-e-hāl par

    pahre lage hue haiñ mirī bol-chāl par

    kahte haiñ log joshish-e-fasl-e-bahār hai

    phūloñ jab mizāj na ho e'tidāl par

    apnī siskiyoñ ko dabā apne ashk poñchh

    ai dost chhoḌ de mujhe mere haal par

    phir aaj ismatoñ jabīñ hai araq araq

    tohmat lagī hai phir kisī mariyam-ḳhisāl par

    mahsūs bārhā ye huā hai ki zindagī

    ik barf Dalī hai kaf-e-barshgāl par

    kitni saza mili hai mujhe arz-e-haal par

    pahre lage hue hain meri bol-chaal par

    kahte hain log joshish-e-fasl-e-bahaar hai

    phulon ka jab mizaj na ho e'tidal par

    tu apni siskiyon ko daba apne ashk ponchh

    ai dost chhoD de tu mujhe mere haal par

    phir aaj ismaton ki jabin hai araq araq

    tohmat lagi hai phir kisi mariyam-KHisal par

    mahsus barha ye hua hai ki zindagi

    ek barf ki Dali hai kaf-e-barshgal par

    Source :
    • Book : Aqleem (Pg. 52)
    • Author : Jafar Baloch
    • Publication : Maktaba aalia, Urdu Bazar Lahore (1986)
    • Edition : 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now