kitni tarkiben kin baatin ke liye
kitnī tarkībeñ kiiñ bātin ke liye
nuun sākin miim sākin ke liye
mere apne mujh se jab barham hue
maiñ rahūñ zinda bhalā kin ke liye
yā ḳhudā us ke sabhī ġham duur ho
maiñ duā kartī huuñ mohsin ke liye
pūchhte ho ham se hai islām kyā
haq pe chalnā farz momin ke liye
gardish-e-ayyām ne toḌe sitam
vaqt ne badle bhī gin gin ke liye
bijliyoñ ne phir jalāyā āshiyāñ
maiñ ne phir se choñch meñ tinke liye
ain mumkin hai miTā duuñ mas.ale
bas pareshānī hai lekin ke liye
un ko mujh se vāsta kuchh bhī nahīñ
ḳhaak kar dī zindagī jin ke liye
aaj ke is daur meñ jiinā sazā
jaane kyoñ zinda haiñ kis din ke liye
is jahāñ meñ kuchh bhī ho saktā hai ab
haiñ khule dar ġhair-mumkin ke liye
in savāloñ par mere vo chup rahā
thī mujhe ummīd jin jin ke liye
umr bhar 'shahnāz' ummīd-e-sahar
merā sūraj chhup gayā din ke liye
jin pe ham marte rahe 'shahnāz' vo
kahte haiñ zinda ho kis din ke liye
kitni tarkiben kin baatin ke liye
nun sakin mim sakin ke liye
mere apne mujh se jab barham hue
main rahun zinda bhala kin ke liye
ya KHuda us ke sabhi gham dur ho
main dua karti hun mohsin ke liye
puchhte ho hum se hai islam kya
haq pe chalna farz momin ke liye
gardish-e-ayyam ne toDe sitam
waqt ne badle bhi gin gin ke liye
bijliyon ne phir jalaya aashiyan
main ne phir se chonch mein tinke liye
ain mumkin hai miTa dun masale
bas pareshani hai lekin ke liye
un ko mujh se wasta kuchh bhi nahin
KHak kar di zindagi jin ke liye
aaj ke is daur mein jina saza
jaane kyon zinda hain kis din ke liye
is jahan mein kuchh bhi ho sakta hai ab
hain khule dar ghair-mumkin ke liye
in sawalon par mere wo chup raha
thi mujhe ummid jin jin ke liye
umr bhar 'shahnaz' ummid-e-sahar
mera suraj chhup gaya din ke liye
jin pe hum marte rahe 'shahnaz' wo
kahte hain zinda ho kis din ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.