kitni zulfen uDin kitne aanchal uDe chand ko kya KHabar
kitnī zulfeñ uḌiiñ kitne āñchal uḌe chāñd ko kyā ḳhabar
kitnā mātam huā kitne aañsū bahe chāñd ko kyā ḳhabar
muddatoñ us kī ḳhvāhish se chalte rahe haath aatā nahīñ
chaah meñ us kī pairoñ meñ haiñ aable chāñd ko kyā ḳhabar
vo jo niklā nahīñ to bhaTakte rahe haiñ musāfir ka.ī
aur luTte rahe haiñ ka.ī qāfile chāñd ko kyā ḳhabar
us ko da.avā bahut mīThe-pan kā 'vasī' chāñdnī se kaho
us kī kirnoñ se kitne hī ghar jal ga.e chāñd ko kyā ḳhabar
kitni zulfen uDin kitne aanchal uDe chand ko kya KHabar
kitna matam hua kitne aansu bahe chand ko kya KHabar
muddaton us ki KHwahish se chalte rahe hath aata nahin
chah mein us ki pairon mein hain aable chand ko kya KHabar
wo jo nikla nahin to bhaTakte rahe hain musafir kai
aur luTte rahe hain kai qafile chand ko kya KHabar
us ko dawa bahut miThe-pan ka 'wasi' chandni se kaho
us ki kirnon se kitne hi ghar jal gae chand ko kya KHabar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.