kiya hai maine taaqub wo subh-o-sham apna
kiya hai maine taaqub wo subh-o-sham apna
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
MORE BYAkbar Ali Khan Arshi Zadah
kiyā hai maiñ ne ta.āqub vo sub.h-o-shām apnā
maiñ dasht dasht pukārā kiyā huuñ naam apnā
maiñ tujh ko bhuul na pā.ūñ yahī sazā hai mirī
maiñ apne-āp se letā huuñ intiqām apnā
ye nisbateñ kabhī zaatī kabhī sifātī haiñ
har ek shakl meñ lāzim hai ehtirām apnā
isī talāsh meñ pahuñchā huuñ ishq tak tere
ki is havāle se pā jā.ūñ maiñ davām apnā
na jaane ḳhud se hai ye guftugū ki tujh se hai
na jaane kis se muḳhātab hai ye kalām apnā
kiya hai main ne taaqub wo subh-o-sham apna
main dasht dasht pukara kiya hun nam apna
main tujh ko bhul na paun yahi saza hai meri
main apne-ap se leta hun intiqam apna
ye nisbaten kabhi zati kabhi sifati hain
har ek shakl mein lazim hai ehtiram apna
isi talash mein pahuncha hun ishq tak tere
ki is hawale se pa jaun main dawam apna
na jaane KHud se hai ye guftugu ki tujh se hai
na jaane kis se muKHatab hai ye kalam apna
- Sukhan Mere Tumhare Darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.