kiya hai tu ne to jaan-e-jahan jahan tasKHir
kiyā hai tū ne to jān-e-jahāñ jahāñ tasḳhīr
huā hai husn kā shohra tirā to ālam-gīr
nahā ke baal jo sarkā.e gore chehre se
to jaise chāñd nikal aayā kaalī badrī chiir
na ḳhūb-rū tujhe kah sakte haiñ na mahr na maah
ajab gaḌhī yad-e-qudrat ne kuchh tirī tasvīr
jahāñ paḌā tirā saaya ugā vahāñ gulzār
qadam dharā hai tū jis jā banā hai mushk-o-abīr
shikār kar liyā saarā jahāñ shikār-andāz
huā hai paar nigah se tirī nigāh kā tiir
hue na zab.h na fitrāk tak ye jā pahuñche
idhar udhar haiñ taḌapte ye nīm-jāñ naḳhchīr
hai 'azfarī' vo siyah-baḳht saañp kaaTā bhī
paḌī hai zulf kī aa jis ke paañv meñ zanjīr
kiya hai tu ne to jaan-e-jahan jahan tasKHir
hua hai husn ka shohra tera to aalam-gir
naha ke baal jo sarkae gore chehre se
to jaise chand nikal aaya kali badri chir
na KHub-ru tujhe kah sakte hain na mahr na mah
ajab gaDhi yad-e-qudrat ne kuchh teri taswir
jahan paDa tera saya uga wahan gulzar
qadam dhara hai tu jis ja bana hai mushk-o-abir
shikar kar liya sara jahan shikar-andaz
hua hai par nigah se teri nigah ka tir
hue na zabh na fitrak tak ye ja pahunche
idhar udhar hain taDapte ye nim-jaan naKHchir
hai 'azfari' wo siyah-baKHt sanp kaTa bhi
paDi hai zulf ki aa jis ke panw mein zanjir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.