kiya shabab ne barbaad-e-rozgar mujhe
kiyā shabāb ne barbād-e-rozgār mujhe
payām-e-marg huī da.avat-e-bahār mujhe
agar kahūñ ki na aa.e kabhī qarār mujhe
ab is qadar bhī nahīñ dil pe iḳhtiyār mujhe
nashāt-e-dahr abhī dard se badal jaa.e
milā hai zabt-e-mohabbat kā iḳhtiyār mujhe
agar hai ma.anī-e-dīdār ḳhaak ho jaanā
banā de apnī tajallī kī yādgār mujhe
rahegā ahd-e-guzishta se ik gila 'hirmāñ'
jahāñ meñ chhoḌ gayā kar ke sogvār mujhe
kiya shabab ne barbaad-e-rozgar mujhe
payam-e-marg hui dawat-e-bahaar mujhe
agar kahun ki na aae kabhi qarar mujhe
ab is qadar bhi nahin dil pe iKHtiyar mujhe
nashat-e-dahr abhi dard se badal jae
mila hai zabt-e-mohabbat ka iKHtiyar mujhe
agar hai mani-e-didar KHak ho jaana
bana de apni tajalli ki yaadgar mujhe
rahega ahd-e-guzishta se ek gila 'hirman'
jahan mein chhoD gaya kar ke sogwar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.