kiye hain mujh pe jo ehsan jata nahin sakta
kiye haiñ mujh pe jo ehsāñ jatā nahīñ saktā
vo shaḳhs to mirā dil bhī dikhā nahīñ saktā
chhupā huā huuñ tah-e-sañg ek muddat se
havā kā jhoñkā mirī samt aa nahīñ saktā
pare hai aaj bhī vo sarhad-e-tasavvur se
maiñ us ko puuj to saktā huuñ pā nahīñ saktā
dikhā rahā hai vahī mauj mauj aks mujhe
vo terā aks jise maiñ banā nahīñ saktā
maiñ ek naġhma-e-sāda-mizāj huuñ 'āsif'
qabā-e-sāz meñ ḳhud ko chhupā nahīñ saktā
kiye hain mujh pe jo ehsan jata nahin sakta
wo shaKHs to mera dil bhi dikha nahin sakta
chhupa hua hun tah-e-sang ek muddat se
hawa ka jhonka meri samt aa nahin sakta
pare hai aaj bhi wo sarhad-e-tasawwur se
main us ko puj to sakta hun pa nahin sakta
dikha raha hai wahi mauj mauj aks mujhe
wo tera aks jise main bana nahin sakta
main ek naghma-e-sada-mizaj hun 'asif'
qaba-e-saz mein KHud ko chhupa nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.