kiye tu ne dur aasman kaise kaise
kiye tū ne duur āsmāñ kaise kaise
zamīñ ko dikhā.e samāñ kaise kaise
idhar dil hai muztar udhar chashm-e-hairāñ
hamāre bhī haiñ rāzdāñ kaise kaise
uThā.e haiñ dīdār-e-lailā kī ḳhātir
shutar-ġhamza-e-sārbāñ kaise kaise
kidhar haiñ kiyānī-o-rūmī-o-muġhlī
jahāñ se uThe ḳhāndāñ kaise kaise
bas ik hasrat-ālūda tarz-e-nigah meñ
suḳhan kah ga.e be-zabāñ kaise kaise
ġhazab hai tirī nīm-bāz aañkh zālim
hazāroñ kiye nīm-jāñ kaise kaise
ajab kyā ki har zarra-e-ḳhāk-e-dil ho
mile ḳhaak meñ gulsitāñ kaise kaise
zarā jhāñk khiḌkī se zālim paḌī haiñ
tire dar pe be-ḳhānumāñ kaise kaise
hayā naaz pindār raġhb-o-taġhāful
tumhārī bhī haiñ pāsbāñ kaise kaise
kabhī ho ke paanī bahāyā na 'hasrat'
hue dil meñ jaur-e-butāñ kaise kaise
kiye tu ne dur aasman kaise kaise
zamin ko dikhae saman kaise kaise
idhar dil hai muztar udhar chashm-e-hairan
hamare bhi hain raazdan kaise kaise
uThae hain didar-e-laila ki KHatir
shutar-ghamza-e-sarban kaise kaise
kidhar hain kiyani-o-rumi-o-mughli
jahan se uThe KHandan kaise kaise
bas ek hasrat-aluda tarz-e-nigah mein
suKHan kah gae be-zaban kaise kaise
ghazab hai teri nim-baz aankh zalim
hazaron kiye nim-jaan kaise kaise
ajab kya ki har zarra-e-KHak-e-dil ho
mile KHak mein gulsitan kaise kaise
zara jhank khiDki se zalim paDi hain
tere dar pe be-KHanuman kaise kaise
haya naz pindar raghb-o-taghaful
tumhaari bhi hain pasban kaise kaise
kabhi ho ke pani bahaya na 'hasrat'
hue dil mein jaur-e-butan kaise kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.