kohna aqdar se koi haT jae to
kohna aqdār se koī haT jaa.e to
pairahan jo purānā hai phaT jaa.e to
jis nigah ne sañvarnā sikhāyā use
vo nigah us ke chehre se haT jaa.e to
kuchh lachak raushnī ke liye bhī rakho
raat apne hī mauqif pe DaT jaa.e to
kyā abhī bhī qayāmat nahīñ aa.egī
jab zamīñ apne mehvar se haT jaa.e to
muntazir terī aamad kā ab bhī huuñ maiñ
gar charāġhoñ kī lau hī simaT jaa.e to
phir ḳhayānat kā ehsās baḌhne lage
mujh meñ merī kamī thoḌī ghaT jaa.e to
kohna aqdar se koi haT jae to
pairahan jo purana hai phaT jae to
jis nigah ne sanwarna sikhaya use
wo nigah us ke chehre se haT jae to
kuchh lachak raushni ke liye bhi rakho
raat apne hi mauqif pe DaT jae to
kya abhi bhi qayamat nahin aaegi
jab zamin apne mehwar se haT jae to
muntazir teri aamad ka ab bhi hun main
gar charaghon ki lau hi simaT jae to
phir KHayanat ka ehsas baDhne lage
mujh mein meri kami thoDi ghaT jae to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.