kohsar-e-hunar mujhse abhi sar na hua tha
kohsar-e-hunar mujhse abhi sar na hua tha
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj
kohsār-e-hunar mujh se abhī sar na huā thā
maiñ chāk-e-garebāñ kā rafū-gar na huā thā
dīvār kī tahrīr ne koshish to bahut kī
āmoḳhta aksar mujhe azbar na huā thā
duniyā ke liye mujh meñ kashish kis liye hotī
gardish meñ rahā maiñ kabhī mehvar na huā thā
ma.alūm use ḳhuub the ik sar ke masārif
dīvār banā shaḳhs kabhī dar na huā thā
us ke to makāñ jaise ḳhad-o-ḳhāl nahīñ the
jab tak ki yahī dasht mirā ghar na huā thā
dāroġha-e-ġham ḳhuub nazar rakhte the lekin
ik sāneha is dil pe muqarrar na huā thā
har niiñd ke pahlū meñ ka.ī phuul the lekin
ta.abīr se har ḳhvāb mo.attar na huā thā
is baar sitāroñ ne bhī 'atiyāt diye the
is baar magar chāñd munavvar na huā thā
kohsar-e-hunar mujh se abhi sar na hua tha
main chaak-e-gareban ka rafu-gar na hua tha
diwar ki tahrir ne koshish to bahut ki
aamoKHta aksar mujhe azbar na hua tha
duniya ke liye mujh mein kashish kis liye hoti
gardish mein raha main kabhi mehwar na hua tha
malum use KHub the ek sar ke masarif
diwar bana shaKHs kabhi dar na hua tha
us ke to makan jaise KHad-o-KHal nahin the
jab tak ki yahi dasht mera ghar na hua tha
darogha-e-gham KHub nazar rakhte the lekin
ek saneha is dil pe muqarrar na hua tha
har nind ke pahlu mein kai phul the lekin
tabir se har KHwab moattar na hua tha
is bar sitaron ne bhi 'atiyat diye the
is bar magar chand munawwar na hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.