koi aahaT koi dastak koi jhankar to ho
koī aahaT koī dastak koī jhankār to ho
us kī jānib se kisī baat kā iz.hār to ho
buḳhl se kaam na lūñgā maiñ sarāhūñgā use
koī chehra tire mānind trahdār to ho
zaḳhm sah lūñgā muñDeroñ pe lage shīshoñ ke
koī shai diid ke qābil pas-e-dīvār to ho
chand lamhoñ kī masāfat ho ki barsoñ kā safar
kaif-parvar haiñ sabhī sang koī yaar to ho
chand lamhe meñ kahīñ baiTh ke dam le to sakūñ
dar mile yā na mile sāya-e-dīvār to ho
koi aahaT koi dastak koi jhankar to ho
us ki jaanib se kisi baat ka izhaar to ho
buKHl se kaam na lunga main sarahunga use
koi chehra tere manind trahdar to ho
zaKHm sah lunga munDeron pe lage shishon ke
koi shai did ke qabil pas-e-diwar to ho
chand lamhon ki masafat ho ki barson ka safar
kaif-parwar hain sabhi sang koi yar to ho
chand lamhe mein kahin baiTh ke dam le to sakun
dar mile ya na mile saya-e-diwar to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.