koi aisa kamal ho jae
koī aisā kamāl ho jaa.e
hijr saarā visāl ho jaa.e
ek ik lamha terī qurbat kā
zindagī kā jamāl ho jaa.e
āyatoñ kī tarah ḳhayāl tirā
utre aur mujh pe Dhaal ho jaa.e
bāñdh luuñ ḳhud ko dhyān se tere
aur bachāo muhāl ho jaa.e
aañkh bedāriyoñ meñ kho jaa.e
rat-jagoñ kī misāl ho jaa.e
terī ḳhushbū had-e-vajūd meñ ho
aur takmīl-e-hāl ho jaa.e
koi aisa kamal ho jae
hijr sara visal ho jae
ek ek lamha teri qurbat ka
zindagi ka jamal ho jae
aayaton ki tarah KHayal tera
utre aur mujh pe Dhaal ho jae
bandh lun KHud ko dhyan se tere
aur bachao muhaal ho jae
aankh bedariyon mein kho jae
rat-jagon ki misal ho jae
teri KHushbu had-e-wajud mein ho
aur takmil-e-haal ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.