Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi aisi sabil ho jae

Zarrin Munavvar

koi aisi sabil ho jae

Zarrin Munavvar

MORE BYZarrin Munavvar

    koī aisī sabīl ho jaa.e

    ishq merā vakīl ho jaa.e

    mirī ik nigāh ko tarse

    is qadar dil baḳhīl ho jaa.e

    aañkh tasvīr us ko kar le agar

    dard meñ ḳhud-kafīl ho jaa.e

    is ko bas pyaar harārat do

    ruuh jab bhī aliil ho jaa.e

    talḳh lahje se vaar hote haiñ

    ḳhatm jab bhī dalīl ho jaa.e

    nafratoñ ke jahān meñ 'zarrīñ'

    pyaar merā qabīl ho jaa.e

    koi aisi sabil ho jae

    ishq mera wakil ho jae

    tu meri ek nigah ko tarse

    is qadar dil baKHil ho jae

    aankh taswir us ko kar le agar

    dard mein KHud-kafil ho jae

    is ko bas pyar ki hararat do

    ruh jab bhi alil ho jae

    talKH lahje se war hote hain

    KHatm jab bhi dalil ho jae

    nafraton ke jahan mein 'zarrin'

    pyar mera qabil ho jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now