Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi an-hona waqia nahin hai

Iftikhar Haidar

koi an-hona waqia nahin hai

Iftikhar Haidar

MORE BYIftikhar Haidar

    koī an-honā vāqi.a nahīñ hai

    ishq mere liye nayā nahīñ hai

    tujh ko har baat pata nahīñ hai

    mirā ishq hai ḳhudā nahīñ hai

    yuuñ nishāne na taak taak ke maar

    ek dil hai dūsrā nahīñ hai

    ye jo ham roz lafz bunte haiñ

    mas.ala hai ye mashġhala nahīñ hai

    toḌtā hai hudūn-e-kaun-o-makāñ

    dard koī dā.era nahīñ hai

    do kināre haiñ ek maiñ ik

    aur kināroñ meñ fāsla nahīñ hai

    koī iz.hār sabīl nahīñ

    aag aag hai havā nahīñ hai

    ye jo tum maut se Darāte ho

    zindagī sab mas.ala nahīñ hai

    koi an-hona waqia nahin hai

    ishq mere liye naya nahin hai

    tujh ko har baat ka pata nahin hai

    tu mera ishq hai KHuda nahin hai

    yun nishane na tak tak ke mar

    ek hi dil hai dusra nahin hai

    ye jo hum roz lafz bunte hain

    masala hai ye mashghala nahin hai

    toDta hai hudun-e-kaun-o-makan

    dard ka koi daera nahin hai

    do kinare hain ek main ek tu

    aur kinaron mein fasla nahin hai

    koi izhaar ki sabil nahin

    aag hi aag hai hawa nahin hai

    ye jo tum maut se Daraate ho

    zindagi sab ka masala nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now