koi bagh sa saja hua mere samne
koī baaġh sā sajā huā mire sāmne
ki badan hai koī khilā huā mire sāmne
vahī aañkh hai ki sitāra hai mire rū-ba-rū
ye charāġh kyā hai jalā huā mire sāmne
mirī ḳhvāb-gāh meñ raat kaisā ḳhumār thā
koī jaam sā thā dharā huā mire sāmne
maiñ khaḌā huā thā ajiib vahm o gumān meñ
dar-e-ḳhvāb-e-shab thā khulā huā mire sāmne
kabhī lauT aayā maiñ dasht se to ye shahr bhī
usī gard meñ thā aTā huā mire sāmne
mirā rāsta tire rāste se alag huā
yahī rāsta thā bachā huā mire sāmne
koi bagh sa saja hua mere samne
ki badan hai koi khila hua mere samne
wahi aankh hai ki sitara hai mere ru-ba-ru
ye charagh kya hai jala hua mere samne
meri KHwab-gah mein raat kaisa KHumar tha
koi jam sa tha dhara hua mere samne
main khaDa hua tha ajib wahm o guman mein
dar-e-KHwab-e-shab tha khula hua mere samne
kabhi lauT aaya main dasht se to ye shahr bhi
usi gard mein tha aTa hua mere samne
mera rasta tere raste se alag hua
yahi rasta tha bacha hua mere samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.