koi baat aisi aaj ai meri gul-ruKHsar ban jae
koī baat aisī aaj ai merī gul-ruḳhsār ban jaa.e
ki bulbul bātoñ bātoñ meñ dam-e-guftār ban jaa.e
ayaañ ho jazb-e-shauq aisā hasīñ aa.eñ ziyārat ko
mirī turbat kā mela misr kā bāzār ban jaa.e
mire hañsne pe vo kahte haiñ aisā bhī na ho be-ḳhud
ki koī aadmī se qahqaha dīvār ban jaa.e
ta.ajjub kuchh nahīñ hai gar vafūr-e-soz-e-furqat se
mirā har mū-e-tan minqār-e-mausīqār ban jaa.e
Tahalte gar chale aa.eñ vo dāġhoñ ke tamāshe ko
abhī sarv-e-charāġhāñ merā jism-e-zār ban jaa.e
barahman shaiḳh ko kar de nigāh-e-nāz us but kī
gulū-e-zohd meñ tār-e-nazar zunnār ban jaa.e
agar ghar se ba-qasd-e-sair nikle vo kamāñ-abrū
to bahr-e-tā.ir-e-dil har mizha sūfār ban jaa.e
tabassum kar tamāshā dekh ke vahshat kā phir zālim
mirā chāk-e-garebāñ zaḳhm-e-dāman-dār ban jaa.e
yūñhī hañs hañs ke tum āshiq kā ronā dekhte jaao
ki har tār-e-nazar ik motiyoñ kā haar ban jaa.e
baḌhāo manzilat teġh adā kī tund-ḳhūī se
munāsib hai jo ye shamshīr jauhar-dār ban jaa.e
agar ā.īna-e-dil saaf ho husn-e-tavajjoh se
har ik āñkhoñ kā parda parda-e-asrār ban jaa.e
yahī hai ḳhūñ-bahā chal kar zarā kah do ishāre se
'habīb-e-ḳhasta kā marqad pas-e-dīvār ban jaa.e
koi baat aisi aaj ai meri gul-ruKHsar ban jae
ki bulbul baaton baaton mein dam-e-guftar ban jae
ayan ho jazb-e-shauq aisa hasin aaen ziyarat ko
meri turbat ka mela misr ka bazar ban jae
mere hansne pe wo kahte hain aisa bhi na ho be-KHud
ki koi aadmi se qahqaha diwar ban jae
tajjub kuchh nahin hai gar wafur-e-soz-e-furqat se
mera har mu-e-tan minqar-e-mausiqar ban jae
Tahalte gar chale aaen wo daghon ke tamashe ko
abhi sarw-e-charaghan mera jism-e-zar ban jae
barahman shaiKH ko kar de nigah-e-naz us but ki
gulu-e-zohd mein tar-e-nazar zunnar ban jae
agar ghar se ba-qasd-e-sair nikle wo kaman-abru
to bahr-e-tair-e-dil har mizha sufar ban jae
tabassum kar tamasha dekh ke wahshat ka phir zalim
mera chaak-e-gareban zaKHm-e-daman-dar ban jae
yunhi hans hans ke tum aashiq ka rona dekhte jao
ki har tar-e-nazar ek motiyon ka haar ban jae
baDhao manzilat tegh ada ki tund-KHui se
munasib hai jo ye shamshir jauhar-dar ban jae
agar aaina-e-dil saf ho husn-e-tawajjoh se
har ek aankhon ka parda parda-e-asrar ban jae
yahi hai KHun-baha chal kar zara kah do ishaare se
'habib-e-KHasta ka marqad pas-e-diwar ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.