koi bahaar ki KHatir koi KHizan ke liye
koī bahār kī ḳhātir koī ḳhizāñ ke liye
bas ek maiñ hī rahā sirf gulsitāñ ke liye
ilāhī mujh se nazar chhīn le ki ahl-e-nazar
tamām-umr taḌapte haiñ rāz-dāñ ke liye
masarrateñ jo milīñ tere lutf-e-paiham se
machal rahī haiñ kisī jaur-e-nā-gahāñ ke liye
mujhe haiñ ḳhaar se kuchh ḳhaas nisbateñ ki ye gul
bahār meñ na khilā raunaq-e-ḳhizāñ ke liye
hameñ un ahl-e-suḳhan meñ na kar shumār ki ye
fuġhāñ bhī karte haiñ ḳhush-vaqtī-e-fuġhāñ ke liye
kareñ na zikr tumhārā to kyā kareñ ki hameñ
kuchh aur mil na sakā apnī dāstāñ ke liye
hamāre des meñ iran-o-najd se ustād
bulā.e jaate haiñ ta.alīm-e-āshiqāñ ke liye
hamāre shahr meñ fan ke ijāra-dāroñ ne
kuchal rakhā hai diloñ ko faqat zabāñ ke liye
ham apne des aur apne hī shahr meñ 'ālī'
gadā-gadī pe haiñ majbūr soz-e-jāñ ke liye
koi bahaar ki KHatir koi KHizan ke liye
bas ek main hi raha sirf gulsitan ke liye
ilahi mujh se nazar chhin le ki ahl-e-nazar
tamam-umr taDapte hain raaz-dan ke liye
masarraten jo milin tere lutf-e-paiham se
machal rahi hain kisi jaur-e-na-gahan ke liye
mujhe hain KHar se kuchh KHas nisbaten ki ye gul
bahaar mein na khila raunaq-e-KHizan ke liye
hamein un ahl-e-suKHan mein na kar shumar ki ye
fughan bhi karte hain KHush-waqti-e-fughan ke liye
karen na zikr tumhaara to kya karen ki hamein
kuchh aur mil na saka apni dastan ke liye
hamare des mein iran-o-najd se ustad
bulae jate hain talim-e-ashiqan ke liye
hamare shahr mein fan ke ijara-daron ne
kuchal rakha hai dilon ko faqat zaban ke liye
hum apne des aur apne hi shahr mein 'ali'
gada-gadi pe hain majbur soz-e-jaan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.