koi band-baja sa kanon mein tha
koī band-bājā sā kānoñ meñ thā
ajab shor ūñche makānoñ meñ thā
paḌā thā maiñ ik peḌ kī chhāñv meñ
lagī aañkh to āsmānoñ meñ thā
barahna bhaTaktā thā saḌkoñ pe maiñ
libās ek se ik dukānoñ meñ thā
nazar mere chehre pe markūz thī
dhyān us kā Table ke ḳhānoñ meñ thā
zamīñ chhoḌne kā anokhā mazā
kabūtar kī ūñchī uḌānoñ meñ thā
mujhe maar ke vo bhī rotā rahā
to kyā vo mere mehrbānoñ meñ thā
koi band-baja sa kanon mein tha
ajab shor unche makanon mein tha
paDa tha main ek peD ki chhanw mein
lagi aankh to aasmanon mein tha
barahna bhaTakta tha saDkon pe main
libas ek se ek dukanon mein tha
nazar mere chehre pe markuz thi
dhyan us ka Table ke KHanon mein tha
zamin chhoDne ka anokha maza
kabutar ki unchi uDanon mein tha
mujhe mar ke wo bhi rota raha
to kya wo mere mehrbanon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.