koi batlae haal saqi ka
koī batlā.e haal saaqī kā
aa rahā hai ḳhayāl saaqī kā
koī saanī nahīñ milā ab tak
yaar us be-misāl saaqī ka
haa.e kyā ḳhuub thā vo manzar bhī
mere hoñToñ pe gaal saaqī kā
is judā.ī se ḳhush nahīñ vo bhī
mere jaisā hai haal saaqī kā
sar jhukā hai ḳhudā ke dar 'monis'
dil meñ hai par ḳhayāl saaqī kā
koi batlae haal saqi ka
aa raha hai KHayal saqi ka
koi sani nahin mila ab tak
yar us be-misal saqi ka
hae kya KHub tha wo manzar bhi
mere honTon pe gal saqi ka
is judai se KHush nahin wo bhi
mere jaisa hai haal saqi ka
sar jhuka hai KHuda ke dar 'monis'
dil mein hai par KHayal saqi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.