koi bhi ham-safar nahin hota
koī bhī ham-safar nahīñ hotā
dard kyuuñ raat bhar nahīñ hotā
rāh-e-dil ḳhud-ba-ḳhud hai mil jaatī
koī bhī rāhbar nahīñ hotā
aah kā bhī na zikr kar ai dil
aah meñ bhī asar nahīñ hotā
dil ko āsūdgī bhī kyūñkar ho
ġham se shīr-o-shakar nahīñ hotā
aah ai be-ḳhabar ye be-ḳhabarī
dil-e-nādāñ ḳhabar nahīñ hotā
dil kī rāheñ judā haiñ duniyā se
koī bhī rāhbar nahīñ hotā
ab to mahfil se chal diyā 'farhat'
ab kisī kā guzar nahīñ hotā
koi bhi ham-safar nahin hota
dard kyun raat bhar nahin hota
rah-e-dil KHud-ba-KHud hai mil jati
koi bhi rahbar nahin hota
aah ka bhi na zikr kar ai dil
aah mein bhi asar nahin hota
dil ko aasudgi bhi kyunkar ho
gham se shir-o-shakar nahin hota
aah ai be-KHabar ye be-KHabari
dil-e-nadan KHabar nahin hota
dil ki rahen juda hain duniya se
koi bhi rahbar nahin hota
ab to mahfil se chal diya 'farhat'
ab kisi ka guzar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.