koi bhi nahin shahr mein jab zat ke bahar
koī bhī nahīñ shahr meñ jab zaat ke bāhar
kyuuñ bhiiḌ ye rahtī hai makānāt ke bāhar
hairānī-o-mad.hoshī-o-taskīn-o-musarrat
kuchh bhī to nahīñ qasr-e-tilismāt ke bāhar
har-vaqt kī ye ḳhvāb kī aadat nahīñ achchhī
dīdār ko ra.anā.ī de zulmāt ke bāhar
āzād hai vo nafs kī tahvīl meñ 'rāhat'
aur ham haiñ giraftār havālāt ke bāhar
koi bhi nahin shahr mein jab zat ke bahar
kyun bhiD ye rahti hai makanat ke bahar
hairani-o-madhoshi-o-taskin-o-musarrat
kuchh bhi to nahin qasr-e-tilismat ke bahar
har-waqt ki ye KHwab ki aadat nahin achchhi
didar ko ranai de zulmat ke bahar
aazad hai wo nafs ki tahwil mein 'rahat'
aur hum hain giraftar hawalat ke bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.