koi bhi rasm ho kuchh ho bahana hota tha
koī bhī rasm ho kuchh ho bahānā hotā thā
na jaane kyā thā ki milnā milānā hotā thā
kisī se milte agar dil se ho ke milte the
ajiib log the kaisā zamāna hotā thā
vo laḌ-jhagaḌ ke bhī ik dūsre pe marte the
ye sab to thā hī magar ānā-jānā hotā thā
koī bhī toḌ nahīñ ahd-e-yād-e-māzī kā
hazār ġham the magar muskurānā hotā thā
ye tarbiyat thī gharoñ meñ har ek beTī ko
kisī bhī haal meñ ho ghar bachānā hotā thā
varaq varaq the kitāboñ ke mo'atabar itne
har ek lafz ko dil meñ basānā hotā thā
agar thā ishq to is meñ bhī aisī shiddat thī
bhañvar meñ aise hī bas kuud jaanā hotā thā
koi bhi rasm ho kuchh ho bahana hota tha
na jaane kya tha ki milna milana hota tha
kisi se milte agar dil se ho ke milte the
ajib log the kaisa zamana hota tha
wo laD-jhagaD ke bhi ek dusre pe marte the
ye sab to tha hi magar aana-jaana hota tha
koi bhi toD nahin ahd-e-yaad-e-mazi ka
hazar gham the magar muskurana hota tha
ye tarbiyat thi gharon mein har ek beTi ko
kisi bhi haal mein ho ghar bachana hota tha
waraq waraq the kitabon ke mo'atabar itne
har ek lafz ko dil mein basana hota tha
agar tha ishq to is mein bhi aisi shiddat thi
bhanwar mein aise hi bas kud jaana hota tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.