koi bhuli hui shai taq-e-har-manzar pe rakkhi thi
koi bhuli hui shai taq-e-har-manzar pe rakkhi thi
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
koī bhūlī huī shai tāq-e-har-manzar pe rakkhī thī
sitāre chhat pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhī thī
laraz jaatā thā bāhar jhāñkne se us kā tan saarā
siyāhī jaane kin rātoñ kī us ke dar pe rakkhī thī
vo apne shahr ke miTte hue kirdār par chup thā
ajab ik lāpata zaat us ke apne sar pe rakkhī thī
kahāñ kī sair-e-haft-aflāk uupar dekh lete the
hasīñ ujlī kapāsī barf bāl-o-par pe rakkhī thī
koī kyā jāntā kyā chiiz kis par bojh hai 'bānī'
zarā sī os yuuñ to sīna-e-patthar pe rakkhī thī
koi bhuli hui shai taq-e-har-manzar pe rakkhi thi
sitare chhat pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhi thi
laraz jata tha bahar jhankne se us ka tan sara
siyahi jaane kin raaton ki us ke dar pe rakkhi thi
wo apne shahr ke miTte hue kirdar par chup tha
ajab ek lapata zat us ke apne sar pe rakkhi thi
kahan ki sair-e-haft-aflak upar dekh lete the
hasin ujli kapasi barf baal-o-par pe rakkhi thi
koi kya jaanta kya chiz kis par bojh hai 'bani'
zara si os yun to sina-e-patthar pe rakkhi thi
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 170)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.