koi charagh ata kar koi gulab utar
koī charāġh atā kar koī gulāb utaar
vagarna shahr-e-sitam par vahī azaab utaar
zamīn-e-shahr ko is darja munjamid kar de
har ek chīḳh uThe sar pe āftāb utaar
hameñ barahna kiyā tū ne har zamāne meñ
zamīñ pe tū bhī kabhī ḳhud ko be-hijāb utaar
har ek haath meñ yā kāsa-e-gadā.ī de
vagarna sab ke liye rizq be-hisāb utaar
maiñ tere nuur kā munkir nahīñ falak vaale
magar zamīñ pe kabhī apnā māhtāb utaar
koi charagh ata kar koi gulab utar
wagarna shahr-e-sitam par wahi azab utar
zamin-e-shahr ko is darja munjamid kar de
har ek chiKH uThe sar pe aaftab utar
hamein barahna kiya tu ne har zamane mein
zamin pe tu bhi kabhi KHud ko be-hijab utar
har ek hath mein ya kasa-e-gadai de
wagarna sab ke liye rizq be-hisab utar
main tere nur ka munkir nahin falak wale
magar zamin pe kabhi apna mahtab utar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.