koi chehra tar-o-taza nahin hai
koī chehra tar-o-tāza nahīñ hai
guloñ pe gard hai ġhāza nahīñ hai
ba-zāhir amn hai galiyoñ meñ lekin
khulā koī bhī darvāza nahīñ hai
azāboñ kī sa.ūbat jheltā huuñ
gunāhoñ kā to ḳhamyāza nahīñ hai
mujhe sikkoñ se tolā jā rahā hai
mirī qīmat kā andāza nahīñ hai
'zafar' is daur meñ bhī jī rahā huuñ
abhī bikhrā ye shīrāza nahīñ hai
koi chehra tar-o-taza nahin hai
gulon pe gard hai ghaza nahin hai
ba-zahir amn hai galiyon mein lekin
khula koi bhi darwaza nahin hai
azabon ki saubat jhelta hun
gunahon ka to KHamyaza nahin hai
mujhe sikkon se tola ja raha hai
meri qimat ka andaza nahin hai
'zafar' is daur mein bhi ji raha hun
abhi bikhra ye shiraaza nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.