koi chhu jata hai kaun hai ye
koī chhū jaatā hai kaun hai ye
ḳhushbū ki havā hai kaun hai ye
ye tū jo nahīñ tujh sā sundar
sar-e-shāḳh khilā hai kaun hai ye
maiñ itnā jagmag kaise huuñ
ye kis kī adā hai kaun hai ye
ye jo saañs kī lai pe hai raqs-kunāñ
tū hai ki havā hai kaun hai ye
manzar manzar chahkār ke jo
mujhe khīñch rahā hai kaun hai ye
ye haar siñghār sī saaj sañvār
gar tere sivā hai kaun hai ye
koi chhu jata hai kaun hai ye
KHushbu ki hawa hai kaun hai ye
ye tu jo nahin tujh sa sundar
sar-e-shaKH khila hai kaun hai ye
main itna jagmag kaise hun
ye kis ki ada hai kaun hai ye
ye jo sans ki lai pe hai raqs-kunan
tu hai ki hawa hai kaun hai ye
manzar manzar chahkar ke jo
mujhe khinch raha hai kaun hai ye
ye haar singhaar si saj sanwar
gar tere siwa hai kaun hai ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.