koi dagh hai mere nam par
koī daaġh hai mire naam par
koī saaya mere kalām par
ye pahāḌ hai mire sāmne
ki kitāb manzar-e-ām par
kisī intizār-e-nazar meñ hai
koī raushnī kisī baam par
ye nagar parindoñ kā ġhol hai
jo girā hai dāna-o-dām par
ġham-e-ḳhās par kabhī chup rahe
kabhī ro diye ġham-e-ām par
hai 'munīr' hairat-e-mustaqil
maiñ khaḌā huuñ aise maqām par
koi dagh hai mere nam par
koi saya mere kalam par
ye pahaD hai mere samne
ki kitab manzar-e-am par
kisi intizar-e-nazar mein hai
koi raushni kisi baam par
ye nagar parindon ka ghol hai
jo gira hai dana-o-dam par
gham-e-KHas par kabhi chup rahe
kabhi ro diye gham-e-am par
hai 'munir' hairat-e-mustaqil
main khaDa hun aise maqam par
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 742)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.