koi dekhe adhura-pan hamara
koī dekhe adhūrā-pan hamārā
ki ghar bhī hai to be-āñgan hamārā
inheñ hargiz na roko khelne do
inhī bachchoñ meñ hai bachpan hamārā
abhī kuchh aur sāñsoñ kī havā do
sulagtā rah gayā hai tan hamārā
tumheñ bhī le chale pardes sājan
zarā lagne lagā thā man hamārā
tum aa jaao hare ho jā.eñge ham
harā-pan le gayā sāvan hamārā
har ik jānib se chhīñTeñ aa rahe haiñ
magar be-dāġh hai dāman hamārā
koi dekhe adhura-pan hamara
ki ghar bhi hai to be-angan hamara
inhen hargiz na roko khelne do
inhi bachchon mein hai bachpan hamara
abhi kuchh aur sanson ki hawa do
sulagta rah gaya hai tan hamara
tumhein bhi le chale pardes sajan
zara lagne laga tha man hamara
tum aa jao hare ho jaenge hum
hara-pan le gaya sawan hamara
har ek jaanib se chhinTen aa rahe hain
magar be-dagh hai daman hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.