koi deta hai kisi ko bhi to kya deta hai
koī detā hai kisī ko bhī to kyā detā hai
dast-e-ehsān ko mīzān pe lā detā hai
koī to sañg-e-lab-e-rāh sā mūnis Thahre
raah kā moḌ jo chupke se batā detā hai
shahr-e-gum-gashta kā vo katba jo hai gard-ālūd
har musāfir use jiine kī duā detā hai
ye mirā ahd hai tāvīl-e-sukūnat de kar
ghar ke darvāze ko dīvār banā detā hai
'qaus' be-sūd nahīñ jaatā hai paanī kā lahū
ye Tapaktā hai to rañgīn fazā detā hai
koi deta hai kisi ko bhi to kya deta hai
dast-e-ehsan ko mizan pe la deta hai
koi to sang-e-lab-e-rah sa munis Thahre
rah ka moD jo chupke se bata deta hai
shahr-e-gum-gashta ka wo katba jo hai gard-alud
har musafir use jine ki dua deta hai
ye mera ahd hai tawil-e-sukunat de kar
ghar ke darwaze ko diwar bana deta hai
'qaus' be-sud nahin jata hai pani ka lahu
ye Tapakta hai to rangin faza deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.