koi dil mein sama gaya hua tha
koī dil meñ samā gayā huā thā
zindagī se maiñ āshnā huā thā
us kā band-e-qabā khulā huā thā
yā koī aks aa.ina huā thā
baat karne ko lafz the hī nahīñ
āñkhoñ āñkhoñ meñ faisla huā thā
koī aayā thā mere ghar meñ aur
saarā āñgan khulā khulā huā thā
kis kī ḳhātir ujaaḌ raste par
phuul le kar shajar khaḌā huā thā
chāñdnī jhiil meñ utarte dekh
peḌ sakte meñ aa gayā huā thā
koi dil mein sama gaya hua tha
zindagi se main aashna hua tha
us ka band-e-qaba khula hua tha
ya koi aks aaina hua tha
baat karne ko lafz the hi nahin
aankhon aankhon mein faisla hua tha
koi aaya tha mere ghar mein aur
sara aangan khula khula hua tha
kis ki KHatir ujaD raste par
phul le kar shajar khaDa hua tha
chandni jhil mein utarte dekh
peD sakte mein aa gaya hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.