koi dilkash sa afsana kisi dildar ki baaten
koī dilkash sā afsāna kisī dildār kī bāteñ
fasurda raat hai chhoḌo lab-o-ruḳhsār kī bāteñ
ye mumkin hai parinda qaid ho koī mire andar
mujhe achchhī nahīñ lagtīñ dar-o-dīvār kī bāteñ
zarā ye bhī to dekho be-saroñ ke biich baiThe ho
kahāñ karne lage ho tum amaañ dastār kī bāteñ
tumhārī shā.erī se bor maiñ ab ho gayā 'saurabh'
vahī hālāt kā ronā vahī bekār kī bāteñ
koi dilkash sa afsana kisi dildar ki baaten
fasurda raat hai chhoDo lab-o-ruKHsar ki baaten
ye mumkin hai parinda qaid ho koi mere andar
mujhe achchhi nahin lagtin dar-o-diwar ki baaten
zara ye bhi to dekho be-saron ke bich baiThe ho
kahan karne lage ho tum aman dastar ki baaten
tumhaari shaeri se bor main ab ho gaya 'saurabh'
wahi haalat ka rona wahi bekar ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.