koi dua na koi chaaragar sambhaalega
koī duā na koī chāragar sambhālegā
ki ab ye zaḳhm hī merā jigar sambhālegā
vo aks jis se nahīñ koī aa.ina mahfūz
darūn-e-āb vahī chashm-e-tar sambhālegā
jo barqarār ba-nau-e-digar hai TuuT ke bhī
vo silsila hī hameñ umr bhar sambhālegā
vo jis kī raah meñ gumrāh ho gayā huuñ maiñ
vahī ḳhudā mirā samt-e-safar sambhālegā
ḳhirad ba-nām-e-junūñ qad kī āzmā.ish meñ
farāz-e-dār-o-rasan merā sar sambhālegā
koi dua na koi chaaragar sambhaalega
ki ab ye zaKHm hi mera jigar sambhaalega
wo aks jis se nahin koi aaina mahfuz
darun-e-ab wahi chashm-e-tar sambhaalega
jo barqarar ba-nau-e-digar hai TuT ke bhi
wo silsila hi hamein umr bhar sambhaalega
wo jis ki rah mein gumrah ho gaya hun main
wahi KHuda mera samt-e-safar sambhaalega
KHirad ba-nam-e-junun qad ki aazmaish mein
faraaz-e-dar-o-rasan mera sar sambhaalega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.