koi eajaz hai shayad
koī e.ajāz hai shāyad
mirā e.azāz hai shāyad
jo mutrib chheḌ detā hai
vo dil kā saaz hai shāyad
mire apne muḳhālif haiñ
havā nā-sāz hai shāyad
gale yuuñ ḳhvāb meñ milnā
tirā andāz hai shāyad
yahāñ jo jhuuT kahtā hai
vahī mumtāz hai shāyad
vo jis meñ dam aTaktā hai
vahī dam-sāz hai shāyad
chamaktī dhuup hai to hai
nayā āġhāz hai shāyad
vahī hamrāz hai merā
jo merā raaz hai shāyad
maiñ us kā maan huuñ 'tashna'
vo merā naaz hai shāyad
koi eajaz hai shayad
mera eazaz hai shayad
jo mutrib chheD deta hai
wo dil ka saz hai shayad
mere apne muKHalif hain
hawa na-saz hai shayad
gale yun KHwab mein milna
tera andaz hai shayad
yahan jo jhuT kahta hai
wahi mumtaz hai shayad
wo jis mein dam aTakta hai
wahi dam-saz hai shayad
chamakti dhup hai to hai
naya aaghaz hai shayad
wahi hamraaz hai mera
jo mera raaz hai shayad
main us ka man hun 'tashna'
wo mera naz hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.