koi gham na tha magar ai pari-zad roe hum
koī ġham na thā magar ai parī-zād ro.e ham
ik rasm-bhar nibhā.ī tire baad ro.e ham
ye sach bhī Thiik hai pe tasavvur kamāl thā
so vasl meñ bhī hijr kiyā yaad ro.e ham
ham ko muḳhālifat kī lagī lat kuchh is qadar
jab bhī kahā kisī ne raho shaad ro.e ham
ham ko hunar milā to numā.ish bhī ham ne kī
aate hī is zamīñ pe ḳhudā-zād ro.e ham
kār-e-savāb diin meñ lāzim thā ham pe so
kar dī sitamgarān kī imdād ro.e ham
itnī udaas raat thī lālach meñ paḌ ga.e
bandhan hayā ke toḌ ke āzād ro.e ham
koi gham na tha magar ai pari-zad roe hum
ek rasm-bhar nibhai tere baad roe hum
ye sach bhi Thik hai pe tasawwur kamal tha
so wasl mein bhi hijr kiya yaad roe hum
hum ko muKHalifat ki lagi lat kuchh is qadar
jab bhi kaha kisi ne raho shad roe hum
hum ko hunar mila to numaish bhi hum ne ki
aate hi is zamin pe KHuda-zad roe hum
kar-e-sawab din mein lazim tha hum pe so
kar di sitamgaran ki imdad roe hum
itni udas raat thi lalach mein paD gae
bandhan haya ke toD ke aazad roe hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.