koi haalat nahin ye haalat hai
koī hālat nahīñ ye hālat hai
ye to āshob-nāk sūrat hai
anjuman meñ ye merī ḳhāmoshī
burdbārī nahīñ hai vahshat hai
tujh se ye gāh-gāh kā shikva
jab talak hai basā ġhanīmat hai
ḳhvāhisheñ dil kā saath chhoḌ ga.iiñ
ye aziyyat baḌī aziyyat hai
log masrūf jānte haiñ mujhe
yaañ mirā ġham hī merī fursat hai
tanz pairāya-e-tabassum meñ
is takalluf kī kyā zarūrat hai
ham ne dekhā to ham ne ye dekhā
jo nahīñ hai vo ḳhūb-sūrat hai
vaar karne ko jāñ-nisār aa.eñ
ye to īsār hai 'ināyat hai
garm-joshī aur is qadar kyā baat
kyā tumheñ mujh se kuchh shikāyat hai
ab nikal aao apne andar se
ghar meñ sāmān kī zarūrat hai
aaj kā din bhī 'aish se guzrā
sar se pā tak badan salāmat hai
koi haalat nahin ye haalat hai
ye to aashob-nak surat hai
anjuman mein ye meri KHamoshi
burdbari nahin hai wahshat hai
tujh se ye gah-gah ka shikwa
jab talak hai basa ghanimat hai
KHwahishen dil ka sath chhoD gain
ye aziyyat baDi aziyyat hai
log masruf jaante hain mujhe
yan mera gham hi meri fursat hai
tanz pairaya-e-tabassum mein
is takalluf ki kya zarurat hai
hum ne dekha to hum ne ye dekha
jo nahin hai wo KHub-surat hai
war karne ko jaan-nisar aaen
ye to isar hai 'inayat hai
garm-joshi aur is qadar kya baat
kya tumhein mujh se kuchh shikayat hai
ab nikal aao apne andar se
ghar mein saman ki zarurat hai
aaj ka din bhi 'aish se guzra
sar se pa tak badan salamat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.