koi hamdam bana ke dekho tum
koī hamdam banā ke dekho tum
dil kī duniyā basā ke dekho tum
sub.h-e-nau phir se jaag jā.egī
shām-e-ġham ko sulā ke dekho tum
ban hī jā.egā vo guhar ik din
koī patthar uThā ke dekho tum
Duub jāoge merī chāhat meñ
mujh se nazreñ milā ke dekho tum
muskurānā adā sahī phir bhī
lazzat-e-ġham uThā ke dekho tum
rāh-e-ulfat meñ hārnā kaisā
ik diyā aur jalā ke dekho tum
husn par naaz hai bajā lekin
ishq ko aazmā ke dekho tum
ġhair hī se 'asar' tavaqqo kyuuñ
ḳhud ko apnā banā ke dekho tum
koi hamdam bana ke dekho tum
dil ki duniya basa ke dekho tum
subh-e-nau phir se jag jaegi
sham-e-gham ko sula ke dekho tum
ban hi jaega wo guhar ek din
koi patthar uTha ke dekho tum
Dub jaoge meri chahat mein
mujh se nazren mila ke dekho tum
muskurana ada sahi phir bhi
lazzat-e-gham uTha ke dekho tum
rah-e-ulfat mein haarna kaisa
ek diya aur jala ke dekho tum
husn par naz hai baja lekin
ishq ko aazma ke dekho tum
ghair hi se 'asar' tawaqqo kyun
KHud ko apna bana ke dekho tum
- Book : Uran Kate Paron ki (Pg. 100)
- Author : Asar Akbarabadi
- Publication : Asar Akbarabadi, Canada (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.