koi hasin hai muKHtar-e-kar-KHana-e-ishq
koī hasīn hai muḳhtār-e-kār-ḳhāna-e-ishq
ki lā-makāñ hī kī chaukhaT hai āstāna-e-ishq
nigāheñ DhūñDh rahī haiñ dil-e-yagāna-e-ishq
ishāre pūchh rahe haiñ kahāñ hai ḳhāna-e-ishq
phireñge hashr meñ gard-e-dil-e-yagāna-e-ishq
kareñge pesh-e-ḳhudā ham tavāf-e-ḳhāna-e-ishq
na.ī sadā ho na.e hoñTh hoñ nayā lahja
na.ī zabāñ se kahūñ gar kahūñ fasāna-e-ishq
jo maulvī haiñ vo likkheñge kufr ke fatve
sunā.ūñ sūrat-e-mansūr agar tarāna-e-ishq
agar lage to lage choT mere naale kī
agar paḌe to paḌe dil pe tāziyāna-e-ishq
jo Daal deñ use patthar pe bhī phale-phūle
daraḳht-e-tūr bane sabz ho ke dāna-e-ishq
tumhīñ kaho jo luTā deñ to kaun ḳhālī ho
ḳhazāna husn kā afzūñ hai yā ḳhazāna-e-ishq
vo raat aa.e ki sar terā le ke baazū par
tujhe sulā.ūñ bayāñ kar ke maiñ fasāna-e-ishq
vo dar tak aate nahīñ dar se ham nahīñ uThte
udhar bahāna-e-husn aur idhar bahāna-e-ishq
sikhā.ī kis ne ye raftār mere naale ko
kamar kī tarah lachaktā hai tāziyāna-e-ishq
kisī ko pyaar karegā shabāb meñ tū bhī
tire bhī ghar meñ jalegā charāġh-e-ḳhāna-e-ishq
jo ḳhush-navīs mile koī deñge dil apnā
ham is kitāb meñ likhvā.eñge fasāna-e-ishq
ga.e haiñ vo mirī mahfil meñ bhuul kar rūmāl
ye jā-namāz bichhā kar paḌhūñ dogāna-e-ishq
kisī ke husn ne kāfir banā diyā 'mā.il'
lagā ke qashqa-e-durd-e-sharāb-ḳhāna-e-ishq
koi hasin hai muKHtar-e-kar-KHana-e-ishq
ki la-makan hi ki chaukhaT hai aastana-e-ishq
nigahen DhunDh rahi hain dil-e-yagana-e-ishq
ishaare puchh rahe hain kahan hai KHana-e-ishq
phirenge hashr mein gard-e-dil-e-yagana-e-ishq
karenge pesh-e-KHuda hum tawaf-e-KHana-e-ishq
nai sada ho nae honTh hon naya lahja
nai zaban se kahun gar kahun fasana-e-ishq
jo maulwi hain wo likkhenge kufr ke fatwe
sunaun surat-e-mansur agar tarana-e-ishq
agar lage to lage choT mere nale ki
agar paDe to paDe dil pe taziyana-e-ishq
jo Dal den use patthar pe bhi phale-phule
daraKHt-e-tur bane sabz ho ke dana-e-ishq
tumhin kaho jo luTa den to kaun KHali ho
KHazana husn ka afzun hai ya KHazana-e-ishq
wo raat aae ki sar tera le ke bazu par
tujhe sulaun bayan kar ke main fasana-e-ishq
wo dar tak aate nahin dar se hum nahin uThte
udhar bahana-e-husn aur idhar bahana-e-ishq
sikhai kis ne ye raftar mere nale ko
kamar ki tarah lachakta hai taziyana-e-ishq
kisi ko pyar karega shabab mein tu bhi
tere bhi ghar mein jalega charagh-e-KHana-e-ishq
jo KHush-nawis mile koi denge dil apna
hum is kitab mein likhwaenge fasana-e-ishq
gae hain wo meri mahfil mein bhul kar rumal
ye ja-namaz bichha kar paDhun dogana-e-ishq
kisi ke husn ne kafir bana diya 'mail'
laga ke qashqa-e-durd-e-sharab-KHana-e-ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.