koi jab dil pe chha jae samajh lena mohabbat hai
koī jab dil pe chhā jaa.e samajh lenā mohabbat hai
hasīñ manzar jo taḌpā.e samajh lenā mohabbat hai
shajar mad.hosh mausam meñ gale aapas meñ mil jaa.eñ
tumheñ rashk un pe aa jaa.e samajh lenā mohabbat hai
umaḌtī jab nadī koī diloñ kī pyaas bhaḌkā.e
samundar dil meñ lahrā.e samajh lenā mohabbat hai
guloñ pe baiThā bhañvrā dekh kamsin der tak soche
ḳhalā meñ dekh muskā.e samajh lenā mohabbat hai
kisī tanhā shajar par jab koī phūloñ-bharī alhaḌ
latā bal khā ke chaḌh jaa.e samajh lenā mohabbat hai
kisī hamrāz se sun kar koī ek naam pyārā sā
nazar chup-chāp jhuk jaa.e samajh lenā mohabbat hai
kabhī bād-e-sabā ke mast jhoñke kī ḳhushāmad par
kalī muñh pher sharmā.e samajh lenā mohabbat hai
ġhazāla kī tarah āñkheñ binā kāran bhaTaktī hoñ
jo dil be-vaj.h ghabrā.e samajh lenā mohabbat hai
tasavvur meñ khanak kar kaan meñ paa.el kī ik khan-khan
diloñ meñ dard bhar jaa.e samajh lenā mohabbat hai
adhūre chāñd ko badlī sharārat se kabhī chūme
koī man hī meñ muskā.e samajh lenā mohabbat hai
kisī titlī ko uḌtī dekh kar phūloñ se jab apnī
nazar ashkoñ se bhar jaa.e samajh lenā mohabbat hai
koi jab dil pe chha jae samajh lena mohabbat hai
hasin manzar jo taDpae samajh lena mohabbat hai
shajar madhosh mausam mein gale aapas mein mil jaen
tumhein rashk un pe aa jae samajh lena mohabbat hai
umaDti jab nadi koi dilon ki pyas bhaDkae
samundar dil mein lahrae samajh lena mohabbat hai
gulon pe baiTha bhanwra dekh kamsin der tak soche
KHala mein dekh muskae samajh lena mohabbat hai
kisi tanha shajar par jab koi phulon-bhari alhaD
lata bal kha ke chaDh jae samajh lena mohabbat hai
kisi hamraaz se sun kar koi ek nam pyara sa
nazar chup-chap jhuk jae samajh lena mohabbat hai
kabhi baad-e-saba ke mast jhonke ki KHushamad par
kali munh pher sharmae samajh lena mohabbat hai
ghazala ki tarah aankhen bina karan bhaTakti hon
jo dil be-wajh ghabrae samajh lena mohabbat hai
tasawwur mein khanak kar kan mein pael ki ek khan-khan
dilon mein dard bhar jae samajh lena mohabbat hai
adhure chand ko badli shararat se kabhi chume
koi man hi mein muskae samajh lena mohabbat hai
kisi titli ko uDti dekh kar phulon se jab apni
nazar ashkon se bhar jae samajh lena mohabbat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.