koi jab mil ke muskuraya tha
koī jab mil ke muskurāyā thā
aks-e-gul kā jabīñ pe saayā thā
zaḳhm-e-dil kī jalan bhī kam thī bahut
giit aisā sabā ne gaayā thā
shab khulī thī bahār kī sūrat
din sitāroñ sā jagmagāyā thā
aise sargoshiyāñ thiiñ kānoñ meñ
koī amrit kā jaam laayā thā
ḳhvāb koñpal bhī thī tar-o-tāza
aarzū ne bhī sar uThāyā thā
jis ne mas.hūr kar diyā thā 'farah'
ek jaadū sā ek chhāyā thā
koi jab mil ke muskuraya tha
aks-e-gul ka jabin pe saya tha
zaKHm-e-dil ki jalan bhi kam thi bahut
git aisa saba ne gaya tha
shab khuli thi bahaar ki surat
din sitaron sa jagmagaya tha
aise sargoshiyan thin kanon mein
koi amrit ka jam laya tha
KHwab konpal bhi thi tar-o-taza
aarzu ne bhi sar uThaya tha
jis ne mashur kar diya tha 'farah'
ek jadu sa ek chhaya tha
- Book : Koi bhi rut ho (Pg. 57)
- Author : Farah iqbal
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.