koi jahan mein sahab-e-iman na ban saka
koī jahāñ meñ sāhab-e-īmāñ na ban sakā
tuf hai ki ishq maz.hab-e-insāñ na ban sakā
tā-umr tifl-e-dil pe yatīmī kā karb thā
koshish to kī magar maiñ kabhī maañ na ban sakā
ya.anī junūñ ke baab meñ bhī intiḳhāb thā
jo bahr ban gayā vo bayābāñ na ban sakā
shahr-e-ḳhirad ke baab haqīqat kā har ḳhayāl
dasht-e-gumāñ kī raah kā imkāñ na ban sakā
ye ḳhār-zār sab kā gulistāñ to ban gayā
ye ḳhār-zār merā gulistāñ na ban sakā
koi jahan mein sahab-e-iman na ban saka
tuf hai ki ishq mazhab-e-insan na ban saka
ta-umr tifl-e-dil pe yatimi ka karb tha
koshish to ki magar main kabhi man na ban saka
yani junun ke bab mein bhi intiKHab tha
jo bahr ban gaya wo bayaban na ban saka
shahr-e-KHirad ke bab haqiqat ka har KHayal
dasht-e-guman ki rah ka imkan na ban saka
ye KHar-zar sab ka gulistan to ban gaya
ye KHar-zar mera gulistan na ban saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.