koi kahani koi waqia suna to sahi
koī kahānī koī vāqi.a sunā to sahī
agar hañsā nahīñ saktā mujhe rulā to sahī
kisī ke hijr kā chhallā kisī visāl kī chhāp
bichhaḌ ke mujh se tujhe kyā milā dikhā to sahī
kabhī bulā to sahī apne āstāne par
mujhe bhī apnā koī mo.ajaza dikhā to sahī
maiñ ḳhuud se chhup ke tujhe pyaar karne ā.ūñgā
tū ek baar mujhe bhuul kar bulā to sahī
kise ḳhabar yahīñ terā shikār ho 'jāved'
tū chand tiir añdhere meñ hī chalā to sahī
koi kahani koi waqia suna to sahi
agar hansa nahin sakta mujhe rula to sahi
kisi ke hijr ka chhalla kisi visal ki chhap
bichhaD ke mujh se tujhe kya mila dikha to sahi
kabhi bula to sahi apne aastane par
mujhe bhi apna koi moajaza dikha to sahi
main KHud se chhup ke tujhe pyar karne aaunga
tu ek bar mujhe bhul kar bula to sahi
kise KHabar yahin tera shikar ho 'jawed'
tu chand tir andhere mein hi chala to sahi
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 233)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.