koi KHabar bhi na bheji bahaar ne aate
koī ḳhabar bhī na bhejī bahār ne aate
ki ham bhī qismat-e-mizhgāñ sañvārne aate
phir aarzū se taqāzā-e-rasm-o-rah hotā
nigah pe qarz the jitne utārne aate
ye zindagī hai har ik pairahan meñ sajtī hai
nahīñ thī jiit nasīboñ meñ hārne aate
koī sharar koī ḳhushbū ki dil na bujh jaa.e
kisī bhī naam se ḳhud ko pukārne aate
abhī yahāñ to nahīñ ho sakī hikāyat-e-jāñ
na.e varaq pe na.e naqsh ubhārne aate
kabhī ġhubār kabhī naqsh-pā-e-rāh-ravāñ
vo rahguzar thī ki har ruup dhārne aate
mirā sukūñ bhī mire āñsuoñ ke bas meñ thā
ye mehmāñ merī duniyā nikhārne aate
jo ham nahīñ to sar-e-rah-guzār-e-dard 'adā'
vo kaun the jo dil-o-jāñ ko vārne aate
koi KHabar bhi na bheji bahaar ne aate
ki hum bhi qismat-e-mizhgan sanwarne aate
phir aarzu se taqaza-e-rasm-o-rah hota
nigah pe qarz the jitne utarne aate
ye zindagi hai har ek pairahan mein sajti hai
nahin thi jit nasibon mein haarne aate
koi sharar koi KHushbu ki dil na bujh jae
kisi bhi nam se KHud ko pukarne aate
abhi yahan to nahin ho saki hikayat-e-jaan
nae waraq pe nae naqsh ubhaarne aate
kabhi ghubar kabhi naqsh-pa-e-rah-rawan
wo rahguzar thi ki har rup dhaarne aate
mera sukun bhi mere aansuon ke bas mein tha
ye mehman meri duniya nikhaarne aate
jo hum nahin to sar-e-rah-guzar-e-dard 'ada'
wo kaun the jo dil-o-jaan ko warne aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.