koi KHush hai koi nakaam hai aisa kyon hai
koī ḳhush hai koī nākām hai aisā kyoñ hai
hai kahīñ sub.h kahīñ shaam hai aisā kyoñ hai
jin kī āñkhoñ meñ khaTaktā thā maiñ kāñTe kī tarah
un ke hoñToñ pe mirā naam hai aisā kyoñ hai
chāhe jis kī ho ḳhatā koī bhī mujrim ho magar
tire dīvānoñ pe ilzām hai aisā kyoñ hai
husn kī anjuman-ārā.iyāñ taslīm magar
ishq āvāra-o-badnām hai aisā kyoñ hai
aaj har shaḳhs ko har moḌ pe har mahfil meñ
shikva-e-gardish-e-ayyām hai aisā kyoñ hai
maiñ bhī mamnūn huuñ saaqī kā magar mere liye
koī sāġhar na koī jaam hai aisā kyoñ hai
jab hai be-parda koī sāhab-e-jalva 'anvar'
raushnī sirf lab-e-bām hai aisā kyoñ hai
koi KHush hai koi nakaam hai aisa kyon hai
hai kahin subh kahin sham hai aisa kyon hai
jin ki aankhon mein khaTakta tha main kanTe ki tarah
un ke honTon pe mera nam hai aisa kyon hai
chahe jis ki ho KHata koi bhi mujrim ho magar
tere diwanon pe ilzam hai aisa kyon hai
husn ki anjuman-araiyan taslim magar
ishq aawara-o-badnam hai aisa kyon hai
aaj har shaKHs ko har moD pe har mahfil mein
shikwa-e-gardish-e-ayyam hai aisa kyon hai
main bhi mamnun hun saqi ka magar mere liye
koi saghar na koi jam hai aisa kyon hai
jab hai be-parda koi sahab-e-jalwa 'anwar'
raushni sirf lab-e-baam hai aisa kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.