koi kya samjhe koi kya jaane
koī kyā samjhe koī kyā jaane
ik mohabbat hazār afsāne
hai idhar aql mahv-e-baḳhiya-garī
aur udhar hañs rahe haiñ dīvāne
vahshat-e-dil tujhe ḳhudā rakkhe
raas aane lage haiñ vīrāne
mai-kada hai vahī vahī mai hai
sirf badle hue haiñ paimāne
mauj-e-tūfāñ meñ dāman-e-sāhil
kab nazar aa.egā ḳhudā jaane
sub.h-e-ummīd muskurā.ī 'hasan'
ġham-kade ban ga.e tarab-ḳhāne
koi kya samjhe koi kya jaane
ek mohabbat hazar afsane
hai idhar aql mahw-e-baKHiya-gari
aur udhar hans rahe hain diwane
wahshat-e-dil tujhe KHuda rakkhe
ras aane lage hain virane
mai-kada hai wahi wahi mai hai
sirf badle hue hain paimane
mauj-e-tufan mein daman-e-sahil
kab nazar aaega KHuda jaane
subh-e-ummid muskurai 'hasan'
gham-kade ban gae tarab-KHane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.