koi lamha zindagi ka be-maza hota nahin
koī lamha zindagī kā be-mazā hotā nahīñ
terī yādoñ se agar ye dil judā hotā nahīñ
manzil-e-maqsūd se dil āshnā hotā nahīñ
kam tumhāre rāste kā silsila hotā nahīñ
apnī manzil kā jise ḳhud hī patā hotā nahīñ
rāh-rau hotā hai lekin rahnumā hotā nahīñ
aap ehsāñ mat jatā.eñ hajj-o-'umra bhej kar
zindagī de kar bhī maañ kā haq adā hotā nahīñ
aag nafrat kī zabāñ par le ke chaltā hai vahī
amn se jis shaḳhs ko kuchh vāsta hotā nahīñ
pyaar jis kī zindagī hai āshtī paiġhām hai
ye sabaq aisā hai jo mujh se judā hotā nahīñ
ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-jigar ke saath hai urdu zabāñ
phir to ai 'rahbar' tirā dil be-sadā hotā nahīñ
koi lamha zindagi ka be-maza hota nahin
teri yaadon se agar ye dil juda hota nahin
manzil-e-maqsud se dil aashna hota nahin
kam tumhaare raste ka silsila hota nahin
apni manzil ka jise KHud hi pata hota nahin
rah-rau hota hai lekin rahnuma hota nahin
aap ehsan mat jataen hajj-o-'umra bhej kar
zindagi de kar bhi man ka haq ada hota nahin
aag nafrat ki zaban par le ke chalta hai wahi
amn se jis shaKHs ko kuchh wasta hota nahin
pyar jis ki zindagi hai aashti paigham hai
ye sabaq aisa hai jo mujh se juda hota nahin
KHun-e-dil KHun-e-jigar ke sath hai urdu zaban
phir to ai 'rahbar' tera dil be-sada hota nahin
- Book : Aao Raushni Karlen (Pg. 55)
- Author : Rahbar Pratapgarhi
- Publication : Maktaba Ahsan,Lucknow (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.