koi maal-e-mohabbat mujhe batao nahin
koī ma.āl-e-mohabbat mujhe batāo nahīñ
maiñ ḳhvāb dekh rahā huuñ mujhe jagāo nahīñ
kisī kī yaad hai un kī mahak se vābasta
mujhe ye phuul ḳhudā ke liye suñghāo nahīñ
mohabbat aur javānī ke tazkire na karo
kisī satā.e hue ko bahut satāo nahīñ
ye kah rahā hai mohabbat kī kāvishoñ se dil
ye mere hañsne ke din haiñ mujhe rulāo nahīñ
ujaḌ ke phir nahīñ bastā jahān-e-dil 'aḳhtar'
bahār-e-bāġh ko is par dalīl laao nahīñ
koi maal-e-mohabbat mujhe batao nahin
main KHwab dekh raha hun mujhe jagao nahin
kisi ki yaad hai un ki mahak se wabasta
mujhe ye phul KHuda ke liye sunghao nahin
mohabbat aur jawani ke tazkire na karo
kisi satae hue ko bahut satao nahin
ye kah raha hai mohabbat ki kawishon se dil
ye mere hansne ke din hain mujhe rulao nahin
ujaD ke phir nahin basta jahan-e-dil 'aKHtar'
bahaar-e-bagh ko is par dalil lao nahin
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 436)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.