Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi markaz se alag hai koi mehwar se alag

Kalim Akhtar

koi markaz se alag hai koi mehwar se alag

Kalim Akhtar

MORE BYKalim Akhtar

    koī markaz se alag hai koī mehvar se alag

    aadmī ḳhud ho gayā hai apne paikar se alag

    kitne ḳhānoñ meñ baTā hai ahd-e-nau aadmī

    koī bāhar se judā hai koī andar se alag

    be-libāsī ke sivā ab kuchh nazar aatā nahīñ

    is qadar hai jism ḳhuddārī chādar se alag

    dāġh-e-dil kashmīr gujrāt dil dardnāk

    hādisa koī kahāñ hai chhe december se alag

    band thiiñ almāriyoñ meñ chāhatoñ fileñ

    kis ne 'aḳhtar' ye dastāvez daftar se alag

    koi markaz se alag hai koi mehwar se alag

    aadmi KHud ho gaya hai apne paikar se alag

    kitne KHanon mein baTa hai ahd-e-nau ka aadmi

    koi bahar se juda hai koi andar se alag

    be-libasi ke siwa ab kuchh nazar aata nahin

    is qadar hai jism KHuddari ki chadar se alag

    dagh-e-dil kashmir ka gujraat ka dil dardnak

    hadisa koi kahan hai chhe december se alag

    band thin almariyon mein chahaton ki filen

    kis ne ki 'aKHtar' ye dastawez daftar se alag

    Source :
    • Book : Khayal aab (Pg. 101)
    • Author : kalim Akhtar
    • Publication : Bazm-e-magadh (2007)
    • Edition : 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now