koi masruf-e-amal dar pe hai
koī masrūf-e-amal daar pe hai
raushnī mimbar-o-mīnār pe hai
ye chamak sī jo ruḳh-e-yār pe hai
dhuup Thahrī huī dīvār pe hai
merī miTtī huī tahzīb kā aks
mere ghar ke dar-o-dīvār pe hai
kitnī qīmat meñ bikegā īmān
munhasir garmī-e-bāzār pe hai
haar jaane kā sabab hai kuchh aur
bahs TuuTī huī talvār pe hai
aaj jitnā bhī hai dīvār kā bojh
sab kā sab sāya-e-dīvār pe hai
kis qadar bār-e-kifālat 'tāriq'
ek TuuTī huī minqār pe hai
koi masruf-e-amal dar pe hai
raushni mimbar-o-minar pe hai
ye chamak si jo ruKH-e-yar pe hai
dhup Thahri hui diwar pe hai
meri miTti hui tahzib ka aks
mere ghar ke dar-o-diwar pe hai
kitni qimat mein bikega iman
munhasir garmi-e-bazar pe hai
haar jaane ka sabab hai kuchh aur
bahs TuTi hui talwar pe hai
aaj jitna bhi hai diwar ka bojh
sab ka sab saya-e-diwar pe hai
kis qadar bar-e-kifalat 'tariq'
ek TuTi hui minqar pe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.