koi mila tha sar-e-rah ek zamana hua
koī milā thā sar-e-rāh ik zamāna huā
phir us ke ba.ad koī aisā sāneha na huā
khile jo phuul kare ehtirām-e-zaḳhm-e-jigar
ye phuul vo hai jo minnat-e-kash-e-sabā na huā
abhī se tark-e-ta.alluq kā kyuuñ ḳhayāl aayā
abhī to ziist kā mafhūm bhī adā na huā
mirī sadā ki rahī hai sadā-e-be-āvāz
magar ye shahr-e-navā ham-rah-e-navā na huā
rah-e-vafā meñ sunā hai ki kārvāñ 'nashtar'
Thahar ga.e haiñ jahāñ merā naqsh-e-pā na huā
koi mila tha sar-e-rah ek zamana hua
phir us ke baad koi aisa saneha na hua
khile jo phul kare ehtiram-e-zaKHm-e-jigar
ye phul wo hai jo minnat-e-kash-e-saba na hua
abhi se tark-e-talluq ka kyun KHayal aaya
abhi to zist ka mafhum bhi ada na hua
meri sada ki rahi hai sada-e-be-awaz
magar ye shahr-e-nawa ham-rah-e-nawa na hua
rah-e-wafa mein suna hai ki karwan 'nashtar'
Thahar gae hain jahan mera naqsh-e-pa na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.